Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Khwajah Muhammad Zubair

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap Qayyum e saalis Hazrat Khwaja Muhammad Naqshband Rahmatullah Alayh  ke potay aur Khalifa e Azam thay. Aap ki wiladat basaadt 5 Zeqadah 1093 Hijri ko hui. Abhi asp Rahmatullah Alayh  sirf  terah hi baras ke thay kay aap ke  walid Sheikh abdul Ali ka intqaal ho gaya. Is liye aap ki parwarish Hazrat Khwaja Naqshband Sani ne ki .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap Qutub e dauran aur Qayyum e zamaan thay. Asp Rahmatullah Alayh ke shab o roz ibadat e Elahi mein aur khalq e Khuda ko hadiat karne mein sirf hotay thay. Aap  Rahmatullah Alayh ka halqa bohat wasee tha. Zamane ke barray barray ulama aur amra aap ke mutqid  thay. Allah Tala  ne aap ko deen o dunya ki doulat se sarfraz farmaya tha . Jab bhi doulat kida se bahar tashreef  laatay to umra e shahi apne do shallay aur paghrian rastay par bisha detey taakay mutbarrik ho jaien aur asp Rahmatullah Alayh ke qadam mubarak zameen par nah parrin .

Hazrat Shah Ghulam Ali Rahmatullah Alayh Ke malfoozat  Durr e Muarif mein asp Rahmatullah Alayh ke halaat mein likha hai kay asp Rahmatullah Alayh nimaaz e Awabeen  mein das paaray Quran Majeed ke parhte thay. Is ke baad mardon ka halqa hota tha aur aap tawajah dete thay. Khanah tashreef  le jaa kar aurton ka halqa karte thay. Aur aadhi raat chand ghari aaraam farma kar Tahajad ke liye uth baithtay thay.Tajhad ki namaz mein chalees ya saath martaba Surah Yaseen parhte thay. Baad  azan Chaasht ke waqat tak  muraqbay mein rehtay phir mardon ka halqa hota tha aur asp Rahmatullah Alayh  tawajah dete thay. Thori dair qelola farma kar  taweel qraat ke sath namaz fi al Zawal parhte thay. Phir Khtam e Khwajgan parh kar Zuhar ki namaz ada karte thay. Is ke baad Quran Majeed ki tilawat kar kay khana nosh farmatay thay. Raat din mein yahi waqat Hazrat Rahmatullah Alayh  ke khanay ka tha. Baad az njmaaz e Aser Mashqaat Shareef  ya Maktobaat e Rabbani ka dars dete thay. Gharz ke tamam din tawajah dainay aur hidiat e khalq mein sirf karte thay.

Aik roz Dehli ki jame Masjid ke neechay se aap ki sawari niklee. Hazrat Shah Gulshan Rahmatullah Alayh ne dekha ke 1 shakhs paalki mein sawaar hai aur bohat si palkian is ke peechay chali ja rahi hain aur majmaa e kaseer in palkiaon ke hamrah hai aur anwar e Elahi  is paalki ke is terhan muheet hai kay paalki se aasman tak noor e taban ka aik takhta maloom hota hai. Aur tamam gali  noor se bhar gai hai. Hazrat Shah Gulshan  Rahmatullah Alayh ne apne sar se  purani kamli utaar kar  mureedon se farmaya  is ko jila do . Khadimon ne is ka sabab daryaft  kya tu farmaya is Ameer ki sawari mein aisa noor hai  kay mein ne kabhi apni kamli mein mushahida nahi kya. Halaank teeas saal se isi kamli mein riyazat kar raha hoon . Kisi ne kaha ye Hazrat Khwaja Zubair Rahmatullah Alayh  hain. Farmaya alhamdulillah kay hamaray peer zade hain hamari abaro reh gayi .

Aap ka aik kaseer ul eaial  mureed is qader aleel howa kay haalat e nazaa tak pahonch gaya. Aap ko is par bohat reham aaya aur is ko apne ziman mein le liya. Jis se is ko kaamil sehat  ataa hui aur woh muddat tak zindah raha. Jis waqt aap is duniya se rukhsat hue isi waqt woh shakhs bhi fot ho gaya .

1 shakhs aap se baet karne ke liye ghar se rawana howa. Rastay mein usay aik ghoor sawaar mila us  ne qasad e safar poocha  to is shakhs ne jawab diya kay mein Hazrat Khwaja Zubair Rahmatullah Alayh ki khidmat mein baet karne ke liye ja raha hoon . Ghoor sawaar Neechay Itra aur kaha mein hi Khwaja Muhammad  Zubair Rahmatullah Alayh hoon. Woh shakhs bara khush howa.Ghoor sawaar ne  usay silsila Alia Naqshbandia mujddia mein baet kya aur sath  ijazat bhi day di. Is shakhs ne socha kay mein ab to Sirhind shareef  ke nazdeek pahonch gaya hon kiyon nah Imam Rabbani Hazrat Mujaddad Alif Sani Rahmatullah Alayh ke Roza e muqaddas ki ziyarat bhi karta jaon . Woh shakhs jab Sirhind Shareef poncha  is ne dekha kay wahan logon ka aik bohat bara hajhoom tha jo kisi ko dafan karne ki tayyariyan kar rahay thay. Is shakhs ne hajhoom mein mojood 1 shakhs se daryaft kya to pata chala kay Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh wisaal  farma gai hain. Is shakhs ne agay barh kar jab ziyarat ki to wohi shakal mubarak thi jis ne usay rastay mein baet kia tha .

Aap ke aik manzoor e nazir mureed  Muhammad adil farmatay hain kay Shah Jahan abad ( Dehli ) jatay hue douran raah luteron se saamna ho gaya. Aik ne mujh par kamand phenkna chahi. Mein ne ghabara kar aap se ilteja ki aap Rahmatullah Alayh  ne zahir ho kar inhen danta aur wo bandron ki terhan bhaag gaye .

Isi terhan aap ke mureed ekhas  Shah Makeen Rahmatullah Alayh  bayan karte hain kay jin dinon mein Mecca Muazzama muqeem tha to mujhe asp Rahmatullah Alayh ke deedar ka be had ishtiaq howa. Mein Baet Allah shareef  ke tuwaaf  se dil ko tasalii deta magar itminan nah hota. Isi haalat e iztiraab mein kya daikhta hon kay aap Rahmatullah Alayh bhi mere sath tuwaf frma rahe hain. Mein ne agay barh kar qadam bosi to asp Rahmatullah Alayh  nazron se gayab ho gaye. Mein wapas apni jagah pouncha ko tuwaf  karte hue dekha. Mein dobarah agay barha tu asp Rahmatullah Alayh phir gayab hogaye. Is terhan kayi baar aisa howa. Mere ilawa bohat se logon ne bhi asp Rahmatullah Alayh ko tuwaf  karte hue dekha .

Hazrat Khwaja Muhammad Zubair ke khulfa  bohat ziyada mashhoor hain. Jin mein khaas Khwaja Zia Ullah Naqshbandi Rahmatullah Alayh  jin ke khulfa mein Hazrat Shah Muhammad Aafaq Rahmatullah Alayh  hain. Phir Hazrat Khwaja Muhammad NasirAndleeb Rahmatullah Alayh  jin ke khalifa Hazrat Khwaja Meer Dard Rahmatullah Alayh hue. Aur isi terhan Khwaja Abdul Adal  jin  ke khalifa Hazrat Shah Abdul Qadar Rahmatullah Alayh mutrajim Quran o farzand Hazrat Shah walii Allah Dehlvi Rahmatullah Alayh hain.

Asp 4 Ziaqdah1152 Hijri ko Dehli mein is dar e fani se rukhsat hue jahan se asp ka jasd e khaki Sirhind  la kar supurd e khaak kar diya gaya